Nasri ke siwa main toh kuch bhi nahin
Ho ke usse judah main toh kuch bhi nahin
Uski raahon pe chalta rahun umar bhar
Beet jaye yuhi zindagi ka safar
Fazal kar ae Khuda main toh kuch bhi nahin
Ho ke usse judah main toh kuch bhi nahin..
Katra katra lahoo tera behta raha
Har zulm tu haske sehta raha
Meri shifa ke liye woh tha kuchla gaya
Nasri ke siwa main toh…
Maaf karta hamari har ek woh khata
Deta na woh hamare gunah ki sazaa
Hai yeh uski daya main toh kuch bhi nahin
Nasri ke siwa main toh…
Khaak hoon khaak main lautna hai mujhe
Yeh badan ka watan chodna hai mujhe
Woh thikana mera main toh kuch bhi nahin
Nasri ke siwa main toh…
Uska rasta bada ched se tang hai
Har kadam par magar woh mere sang hai
Woh mera rehnuma main toh kuch bhi nahin
Nasri ke siwa main toh…